Migraine ka ilaj janne se pahle sabse pahle ye jante hain ki ise Adha shishi ka
dard (आधा शीशी का दर्द) bhi kaha jata hai. Is rog me rogi ke aadhe sir me dard
hota hai, aur rogi ke sir me dard is tarah se hota hai ki jaise koi uska sir
baja raha ho, rogi ko kuch bhi karne ki ichha nahi hoti hain. migraine ka dard
bahut asahniya hota hai, lekin allopathy me abhi tak iska koi sateek ilaj nahi
mil paya hai, isliye aaj hum aapke liye migraine ka gharelu ilaj lekar
aaye hain, matlab aap ghar baithe iska ilaj kar sakte hain.
Asal me jab kisi rogi ko sir me dard hai to ye
kaise pata lagaye ki sir me dard migraine ka hai ya normal sir ka dard hai,
iske liye aapko migraine ke lakshan ke bare me janna hoga. Kisi rogi ko agar
neeche likhe hue lakshan mahsoos hote hain to iska matlab ki use migraine ka
dard ho sakta hai.
Migraine Ke Lakshan:
- Jaisa ki aap jan chuke hain ki migraine ka dard sir ke normal dard se alag hota hai, to ise pahchanne ke lkiye aap in lakshano ko dekhe.
- Sabse pahla lakshan hai ki rogi ke aadhe ser me bahut tez dard hota hai.
- Jab sunlight hoti hai to rogi ko ser me bahut dard hota hai, aur jaise light kam hoti hai ser dard kam ho jata hai.
- Bahut bechaini hoti hai, kuch karne ka man nahi hota.
- Ser dard se fatne jaisa lagne lagta hai.
- Dard hone ke sath need nahi aati.
- Roshni se dar sa lagne lagta hai, Rogi andhere me leta rahta hai.
- Kuch khane ki ichha nahi hoti.
- Shor hone par sir me dhamake se lagte hain.
Ab aap upar diye gaye lakshano se jaan sakte
hain ki migraine ka dard hai ki normal ser ka dard hai. Ab agar aapko pata chal
gaya ho aap apna ilaj gharelu tarike se kar sakte ho. Gharelu tareeke se
migraine ka dard aasani se sahi kiya ja sakta hai, aur jaisa ki aap jante hi
honge ki migaine ka allopathy me ilaj nahi ke barabar hai. Bas dard ki goli
khakar hi dard kam kiya ja sakta hai, lekin beemari bani rahti hai aur goliya
apna asar dheere dheere kam karne lagti hain. Aur dard ki tablet khane ke bahut
se disadvantages bhi hain, koi bhi doctor dard ki goli khane ki salah nahi
deta, bas rogi ko thoda releif mil sake isliye kewal kuch hi dino ke liye use
diya jata hai. To agar aap iska achha aur hamesha chutkara pane ka ilaj karna
chahte hain to aapko gharelu upchar hi karna chahiye jo shayad sheere dhere
kaam karenge lekin kuch samaye tak lene se isse hamesha chutkara paya ja sakta
hai. To chaliye jante hain migraine ka gharelu ilaj.
Migraine Ka Gharelu Ilaj:
- Rogi ko agar migraine ki shikayat hai aur agar suraj nikalne ke sath sath ser me dard badh raha ho to aise me rogi ko Shahad (Honey) ki kuch boonde apni naak ke ched me us taraf dale jis taraf ser me dard nahi ho raha hai, dard me ya to aaram milega ya band bhi ho sakta hai, aisa roz karne se is rog me kafi labh hota hai.
- Upar di gayi vidhi ki tarah agar aap gaay(cow) ka suddh ghee apni naak me dalkar upar ki tarf kheechte hai to bhi aapko aaram milega. Iske sath hi roz deshi ghee ke sath purane rakhe hue gud (गुड) ko khane se bhi achha labh hota hai, isse rog kam bhi ho jata hai ya hamesha ke liye bhi theek ho sakta hai.
- Tulsi ko mahaaushadhi(महाऔषधि) bhi kaha jata hai, iska karan hai ki tulsi ko kisi bhi beemari me pryog kiya ja sakta hai. Migraine ke liye bhi aap iska prayog kar sakte hain iske liye agar tulsi ka pure ark ya ras aapke paas hai to bahut hi achha hai, lekin aisa nahi hai to aap iske patto ka bhi use kar sakte hain. aapko tulsi ke ras mko ya patto ko shahad ke sath milakar lena hai. aisa rojana karne se bahut jyada labh milta hai.Ise aap sin me 3 se 4 baar le sakte hain.
- Tulsi ki tarah lahsun bhi bahut gukari kaha jata hai, lahsun ka lep ser me us taraf kare jaha dard ho raha ho aur sath me lahsun ka ras dard ki taraf wale naak ke ched me dalne se labh milta hai.
- Suraj nikalne se pahle uthna achha mana jata hai, agar jaldi uthkar dahi, chawal aur mishri ko milakar khaye to dard me achha fayda hota hai, aisa karne se rog ke jane ki bhi aasha rahti hai.
- · Suraj nikalne se pahle agar chawal ki kheel shahad ke sath milakar khaye to bhi labh bahut adhik hota hai, upar ke diye gaye nuskho me se koi bhi nuska sath me bhi kiya ja sakta hai, jaise ki naak me sarso ka tel ya deshi ghee bhi sath me use kare to migraine ka dard band kiya ja sakta hai.
- Migraine ke ilaj ke liye 12- 15 gram kali mirch ko 25-30 gram deshi ghee ke sath mix karke rogi ko de aur use chwakar khane ko kahe, ya kali mirch ko chawane ke baad ghee upar se pee le achha labh milega.
- Suddh heeng ko pani me bhiga kar sunghane se aur iska lep ser me lagane se migraine ka ilaj kiya ja sakta hai.
- Jaisa ki aap sabhi jante hain ki meetha khana is rog me dard ko kam kar sakta hai to subah doodh ke sath jalebi khane se ya doodh ke sath gud khane se dard me labh paya ja sakta hai.
Migraine ka parhej:
Abhi aapne migraine ka gharelu ilaj jana iske
sath hi ab jante hain ki agar aapko migraine ka dard hai to kin kin bato ka
dhyan rakhna chahiye.
- Agar dard ho raha hai to upar bataye hue nuskho ka prayog kare, aur room me andhera karke so jaye
- Jyada shor wali jahah pa na rahe.
- Music ko tez awaz me kabhi na sune.
- Tez dhoop me ghar se bahar na jaye, agar kaam zaroori hai to kala chhata sath lekar jaye.
- Jyada thanda garam achanak na hone de.
- Tv , computer par kam kaam kare, jab dard ho raha ho to bilkul na kare.
- Dard me jabran kaam na kare. Isse rog aur gambheer ho jata hai, kisi bhi nuskhe ko ajmaye sath me naak me tel ya ghee zaroor dale.
- Dard hone par meetha khaye.
- Khane ka koi parhej nahi hai, bas bachav kare.
Migraine se jude kuch prashn:
Ques: Migraine ka dard kyo hota hai?
Ans: Dekhiye, migraine ka dard kisi ko bhi ho sakta
hai lekin dimag par jyada zor dene wale, jyada gahan chintan karne wale ko ye
rog jaldi ho sakta hai, ye anuwanshik bhi ho sakta hai, agar aapke mata pita ya
baba dadi me kisi ko bhi migraine ka problem hai to apko bhi iska dard ho sakta
hai.
Ques: Allopathy me iska ilaj sambhav hai kya?
Ans: Ye main yakeen se nahi kah sakta magar
abhi tak yahi suna hai ki allopathy me iska koi sthayi yani sateek ilaj nahi
hai, iske liye aap ayurved ya homeopathy apna sakte hain, homeopathy se
migraine ka ilaj kiya ja sakta hai.
Ques: Kis umar ke logo ko ye beemari hoti hai?
Ans: kishoro ko aur yuvavastha me is rog ke
chances jyada hote hain, jyada tv dekhne aur tez music sunne se bhi ye rog ho
sakta hai.
Ques: Kya mahilao ko migraine ki problem jyada
hoti hai?
Ans: haan aapne sahi kaha, ji mahilao ko ya
yuvatiyo ko ye beemari jadi ho jati hai lekin ghabrane ki oi dikkat nahi hai.
uar diye gaye nuskho se aap migaine ka gharelu upchar kar sakte hain.
Aaj ke article me aapne jana ki migraine ka
gharelu ilaj kaise kiya jaye, migraine kya hota hai, migraine kise adhik hota
hai, aur isse jude kuch prashn. Sath hi aapne isse bachne ke bhi upay batye
hain aur kin bato ka hame dhyan rakhna chaiye, ye bhi jana. Abgar aapke man me
koi sawal hai to aap punch sakte hain. ise apne dosto me share kare aur kisi ki
help kare shayad aapke share karne se kisi ko labh mil jaye.
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon