Natural Home Made Remedies for Hair Loss in Hindi
Natural
homemade treatment aaj kal bahut trend me hain, iska karan ye nahi ki ye
fashion hai. iska karan kewal ye hai ki log allopathy se pareshan ho chuke
hain. Agar aap dermatology ki baat kare to allopathy me balo ke jhadne ka treatment bahut
kam effective hai. Agar kaha jaye to ye bewkoof banane ke barabar hi hai. Maine
kai logo ko dekha hai wo hamesha se pareshan rahte hain aur balo ke jhadne ki samsya se jhutkara nahi pa pate hain. aur wahi doctors bhi
kewal steroid dekar apna time kaat rahe hain.
Lekin aap bilkul bhi pareshan ne ho, dharti par har samasya ka samadhan hai, isliye aapke liye main kuch samadhan lekar aaya hoon, balo ke jhadne ke liye gharelu nuskhe bahut kargar hain aur isse aapko bahut adhik labh hoga. jo bhi balo ke jhadne ke gharelu nuskhe main appko bata raha hoon wo sabhi 100% kaam karte hain, aap inme se koi bhi nuskha chun le.
Agar main
hairfall ki baat karu to Homeopathy and ayurvedic treatment bahut hi achha hai.
Asal me yahi gharelu nuskhe hamare purvaj use karte the. Magar allopathy ne
hamare dilo dimag me apna basera kar liya, aur aaj isi karan se humari body ki
immune system bahut kamzor ho gayi. To chaliye fir se apnate hain apna ilaj
karne ka purana tareeka. Aur body ke immune system ko mazboot banate hain.
Aaj hum baat
karenge Ayurvedic homemade remedies ki. Jisme main aapko kuch gharelu nuskhe
bataunga jo aapke bahut kaam aa sakte hain.
- Agar aapka hairfall jyada hai to aap, 2 tablespoon lemmon juice (neembu) aur 3 tablespoon coconut oil (Nariyal tel) ache se ek bowl me mila le aur Aaur dheere dheere fingers ki help se pure scalp par laga le. Yah lep aap sham ya subah lagaye aur 1-2 ghante me normal water se dho de. Aaisa aap pahle to 7 din lagatar kare fir dheere dheere 1 din ka gap dekar kare. Aur haan din me hair oil ka use na kare.
- Kacche mango (aam) ko ache se pees le
aur takreeban 3 tablespoon le le. Aur isme Awale ka ras 2 tablespoon lekar mila
le. Aap is lep ko sir par ache se laga le. Aur takreeban 1 ghante tak laga
rahne de. Awala aapke baalo ko majboot aur silky bana dega.
- Neem aur neembu ayurved me bahut use kiye jate hain. Aur agar inke guno
ki baat ki jaye to kam hi hai. agar main kahu ki neem par ek Granth likha ja
sakta hai to Ise sunne me aapko hairani nahi honi chahiye. Ab kuch gharelu
nuskhe neem se jude bhi hain. jo aapke scalp me maujood bacterial infection ko
bhi kam karega. Jisse dandruff bhi nahi hoga na hi aapko scalp per pimple hone.
Sath hi ye home remedies aapke hairfall ko bhi kam kar degi.
- Kuch nahi Kewal neem ki patti le, jo
ki green ho achhi healthy neem ki pattiya chune aur unhe 1 lt water ke sath
ache se boil kare. Haan jyada boil na kare. Aur jab ye thanda ho jaye tab issse
apne baalo ko dho le. Aapke scalp se related saare problem door ho jayenge. Aur
sath hi aapke baal kale bhi ho jayenge.
- Neem ki Patti aur sath me Ber ki
pattiya barabar le le aur inko peeskar inka ras nikal le. Aur is ras ko scalp
par aaram se lagaye. Aisa 1 month tak karne se aapke baal jhadna to band ho hi
jayenge sath hi aapke naye baal bhi nikalne lagenge.
- 3 tablespoon lemon juice me Awale ka
powder (5 grm ) ya ras (2 table spoon ) milakar lagaye. Balo ka jhadna band ho
jayega sath hi baal kale aur Scalp clean ho jayega.
To aaj aapne jana balo ka jhadna kaise roke,aur iske gharelu nuskhe. Aap in home remedies ke sath Homeopathy
medicine bhi use kar sakte hain. Jo ki bahut hi kargar hai. Aapko Dr Reckeweg
ki R89 medicine use kare. To aapko Double fayada hoga.
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon