Jab aapke sundar dant peele dikhne lage to apko
khud se hi ghrana hone lagti hai, aise me agar aapke daant bahut adhik peele
dikhne lage to unko safed karne ke liye aapko kuch dhyan dene ki zaroorat hogi.
To aaj aap janenge ki moti jaise chamakdar daant kaise kiye jaye yani ki peele
danto ko safed kaise kare (पीले दांत कैसे सफ़ेद करें) iska upchar aap gharelu
tareeke se janenge. दांतों की देखभाल करना bahut zaroori hota hai, kyo ki agar
aapke paas sundar shareer hai aur dant saaf nahi hain to samne wale par apka
impression kharab ho jata hai, aise me aapke peele dant aapki shobha kharab kar
dete hain.
Maine kai logo ko dekha hai wo dikhne me itne
sundar hote hain ki bilkul pariyo ki tarah lagte hain, lekin jab unka muh
khulta hai to sari pol khul jati hai. shadi me bhi log makeup kara lete hain,
wax kara lete hain, yani ki kewal chehare aur body par hi dhyan dete hain,
parantu wo kabhi bhi apne danto ki dekhbhal nahi kar pate. Agar aapko pata hai
ki aapke danto me rog hai ya koi aisi samsya hai jisse unme badbu aati hai to
aapka confidence low hi rahega, aap samne wale se kabhi khulkar baat nahi kar
payenge aur na hi kabhi apne partner ko kiss kar payenge. To chaliye aaj is
samsya ke liye main apke liye kuch gharelu upchar lekar aaya hoon jaha aap apne
danto ki dekhbhal karna seekhenge aur sath hi janenge ki peele danto ko kaise
safed chamakdar banaya jaye.
Neembu aur soda (नींबू और सोडा):
Neeembu aur soda ke prayog se peele danto ko
safed kiya ja sakta hai, 1 chammach soda ko ½ neembu me milakar kisi halke brush se danto par lagaye ya aap
ungli ka bhi prayog kar sakte hain. danto me lagane ke baad ise 5 min tak muh
me bharkar rakhe, fir baad me saaf pani se kulla kare, aisa 10 dino taka kare
aapke dant moti jaise chamkne lagenge.
Neembu, namak aur sarso ka tel (नींबू और सरसों
तेल):
sarso ka tel danto ke liye bahut labhkari hota
hai, aap apne danto ke masoode bhi majboot kar sakte hain aur sath hi apne
danto ko safed bhi kar sakte hain. Namak me sarso oil ko mila kar rakhe, kareeb
½ chammach namak me ½ chammach tel
milaye aur fir usme neembu ki boondh tapkate jaye aur ungli se ise lagaye.
Baking Soda aur Namak (सोडा और नमक):
soda aur namak ko milakar agar peele danto par
lagaya jaye to aap 7 dino ke andar peele danto se chhutkara pa sakte hain, agar
isi mishran ko 15 din use kiya jaye to aapke dant moti ke saman chamakne
lagenge, masoodeo par sarso ka tel lagaye to aapke kale masoodo me bhi sundarta
aa jayegi. Is tarah se danto ki dekhbhal hamesha se karne se aapko danto ki koi
bhi samsya nahi hogi.
santre ka ras aur namak (संतरे का रस और नमक):
Santre yani ki orange ke ras me namak milakar
danto me lagaye, isse aapke danto me chamak aayegi, mishran ko 5 min tak muh me
hi bharkar rakhe, fir kulla karke saaf pani se muh saaf kare, aisa roj 10 dino
tak karne se aapko bahut fayada hoga.
Koyla aur Namak (कोयला और नमक):
koyle ko bahut bareek pees le, itna bareek ki
bilkul powder ki tarah lagne lage, ab isme thoda sa namak milakar ungliyo se
roj apne danto me lagaye. koyle me danto ka pelapan hatane ki takat hoti hai is
liye aapko ye gharelu nuskha zaroor labh dega.
Danto ko ek baar chamka lena hi kafi nahi hai
aapko ye bhi dhyan rakhna hoga ki aapko fir se samsya ka samna na karna pade
iske liye apko apne danto ki dekhbhal daily karni hogi. Aapko upar diye gaye
gharelu nuskho ko daily ajmana hai aur sath hi kuch baato ka dhyan rakhna hoga
jo main aapko abhi batane wala hoon.
Danto Ki Dekhbhal (दांतों की देखभाल):
- Danto ki dekhbhal karna bahut zaroori hota hai, isliye aapko kuch baato ka dhyan rakhna hoga aur unhe apne dainik karyo me shamil karna hoga.
- Subah uthte hi danto ki achhe se safayi kare iske baad bataya hua koi bhi ek nuskha prayog kare.
- Agar aap brush karte hain to nuskhe ke mishran ko ungli se lagaye. Danto me bursh karne ke baad masoodo me 1 min tak ungliya fere.
- khana khane ke baad achhe se kulla kare.
- Hamesha danto me fasa khana nikale.
- Pan masala aur pan khana band kare. Agar ye adat nahi chhod sakte to khane ke baad dant saaf kare.
- Raat ko sone se pahle muh ko saaf karen.
- Nuskho ko 10-15 din use karne ke baad, apne tooth paste me ¼ chammach baking soda milakar roj brush kare.
Ab agar aap hamare dwara bataye hue gharelu
nuskho ka prayog karte hain to aap apne peele danto ko safed chamakdar karne me
100% safal ho jayenge. Lekin aap hamesha is baat ka dhyan rakhe apni pichli
aadato ki wajah se aapke jo dant kharab hue hain unko badalna hoga, kyo ki jab
tak aap ye nahi badlenge to aap fir se is samsya ke ghere me aa jayenge.
To dosto aaj aapne apne peele danto ko safed
karne ke bare me jana, aur sath hi aapne danto ki dekhbahal karna seekha, aap
khud to ye gharelu nuskhe ajmaye hi sath hi apne facebook, whatsapp account se
ise share bhi kare jisse agar apke kisi janne wale ko is samsya se nipatne ka
pata chal jaye.
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon