Agar aapko hairfall ke sath
dandruff bhi hai to Aap kuch Home remedies ka use kar sakte hain. maine last
article me hairfall ke gharelu nuskho ke bare me bataya tha. Ye Natural
treatment aapke bahut kaam aa sakte hain. Aagar ayurveda ki baat ki jaye to
isme use ki jane wali medicine bahut hi effective hoti hain. Aaj main aapko sar
me rusi ko kam karne ke liye Home remidies bataunga. Jo ki bahut
ki effective sabit hui hain.
Baalo Me Rusi Ya Dandruff Ka Karan:
Kabhi kabhi jab mausam
badalta hai to hamare scalp (sir jaha baal ugte hain ) ka PH level imbalance ho
jata hai. to aise me dandruff ka chance aur adhik ho jata hai. kabhi kabhi kisi
ko har time dandruff hota hai. To aise me baalo ka girna bhi shuru ho jata hai.
Samasaya agar gambheer ho jaye. To Homeopathy ki help leni chahiye sath hi kuch
head stand exercise bhi karni chahiye. Chaliye main kuch effective gharelu
nuskho ke bare me aapko batane wala hoon. Ye natural treatment aapke scalp ke
dandruff ko zaroor kam karenge.
Nuskhe:
1.
Apple cider
Vinegar: Apple cider vinegar scalp PH ko balance karne ke liye bahut hi fayade
mand hai. Aap agar bahut adhik dandruff feel karte hain to aapko ise use karna
chahiye.
2.
Soda And Olive
oil: Dandruff ko jad se hatane ke liye soda water se sir dhona chahiye. Aur
raat ko 2 ml olive oil scalp par lagaye. Aur subah nahate time soda water se
dho de. Oil lagan eke liye dropper ka use kare.
3.
Neem, Neembu Aur
Nariyal: Neem oil 2ml, Neemu 2 tablespoon, coconut oil 2ml milakar 1 ghante ke
liye scalp par lagaye. Aur fir normal water se dho de aapke scalp ka dandruff
bahut kam ho jayega.
4.
Kapoor And
coconut Oil: Coconut oil me 1 pinch kapoor dalkar thoda sa garam kar le. Fir is
Garam oil ko Raat me sir par lagaye aur subah soda water se dho de.
5.
Reetha And Awala:
Reethe Aur Awale ko barabar barabar matra me pees le aur raat ko paani me bhiga
kar rakh de. Subah Is lep ko sir par lagakar ! se 1:30 ghante ke liye chhod de.
Sir ko sukhane na de. Jab sukhe to thoda sa paani sir par daal le. Aur jab 1:30
ghante ho jaye to ise normal water se dho de.
6.
Aloe-Vera Gel:
Aloe vera ke goode ko nikal kar acche se pees le aur ise scalp par laga kar 1
ghante ke liye chhod de. Aap jab ise normal paani se saaf karenge to aap feel
karenge ki aisa gel aapne duniya me nahi dekha hoga. Bas aap is baat ka dhyan
de ki gel ko scalp se acche se saaf kare.
7.
Neembu And Sugar:
Neembu ko sugar (cheeni) me milakar lagane se Sir ki roosi saaf ho jati hai.
Ise aap lagbhag 1 ghante tak laga kar rakhe.
8.
White Vinegar:
Fast food me use hone wala white vinegar dandruff ke liye bahut labh kari hai.
White vinegar ko nahane ke 30 min pahle laga le aur fir saaf kar de. Aapki
roosi bilkul saaf ho jayegi.
Upar diye gaye nuskhe bhut hi labh kari hain. Aap apne
hisab se koi bhi nuskha ajma sakte hain. Inme se koi bhi nuskha aapke liye fit
ho sakta hai. Aur agar koi nuskha aapko achha fayada karta hai to aap ise
hamesha ke liye apna kar achha fayada le sakte hain. To aaj aapne jana sar se rusi kaise kam ki jaye aur jana iske kya karn ho sakte hain.
This post have 0 comments
EmoticonEmoticon